Ganga Rajputi Poshak

Naukri ke liye interview form — Bikaner

Salesman — Interview Form

Sab sawalon ka jawab dena zaroori hai. Aapka jawab seedha store ke paas pahunch jaayega.

1. Ek customer ka poshak liya tha, silai thodi kharab ho gayi. Customer gussa hokar dukaan aata hai. Aap kya karenge?
2. Ek customer bahut der se ek hi lehenga dekh raha hai, decide nahi kar pa raha. Doosri taraf naya customer aa gaya hai. Aap kya karenge?
3. Customer price pe bahut zyada bargain kar raha hai, jitna discount aap de sakte ho usse zyada maang raha hai. Aap kya karenge?
4. Aapne customer ko galat fabric/design bata diya, baad mein pata chala galti thi. Aap kya karenge?
5. Ek customer baar-baar wahi simple sawal pooch raha hai product ke baare mein. Aap us situation ko kaise handle karenge?
6. Aapko lagta hai achha salesman banne ke liye sabse zaruri cheez kya hai?
7. Kabhi aisa hua hai ki customer ke saath bahas/tension hui ho? Aapne kaise handle kiya?
8. Rajputi poshak, lehenga, odhni ke fabric ke prakar (jaise georgette, silk, bandhani, cotton) ke baare mein aapko kitni jaankari hai? Thoda batayein.